02/11/2026
Umar ke is padaav par aakar kisse kare gila shikwa...
Khula rehne de yaadon ka jharokha,
Aane de sukoon ki thandi hawa.
Meethi yaadon ko batorna hai,
Buri yaadon ko dafan karke,
Apno sang khushi khushi batiyana hai.
Apne anubhav se likhi meri ye kavita,
Shayad aapke dil ko bhi chhoo jaye.
— Pummy, Kolkata ❤️